Jay Mata Di
Written by –
Himanshu Guru
Tere Dar Pe
Aayaa Bhawani
Humko Naa
Thukraanaa, Bipadon Se Maa Bachaanaa ll0ll
Duniyan Ki
Har Khushi, Teri Chaahat Se
Paapi Insaan
Yeh Nehin Jaane
Ye Jag Ki
Sachchaaee, Karunaa Karo Mahaamaayee
Tum Bin
Meri, Nehin Koi Durge
Andhion Se
Maa Bachchanaa, Humko Naa Thukraanaa ll1ll
Teri Har
Roop Ki Maa, Ek Kaahaani Hei
Durgaa Kaali
Sheraawaali Jagjanani Jyotaawaali
Duniyaan
Paalnewaali
Teri Dayaa
Ki Paar Nehin Maa
Charanon
Mein Sthaan Dena, Humko Naa Thukraanaa ll2ll
Saagar Ki
Har Leher, Baarish Ki Rimjhim
Panchhion Ke
Pyaare Gunjan
Teri Geet
Hai Gaatee, Maa Ki Baani Sunaati
In Bhagton
Ko, Hum Patiton Ko
Maaf Sadaa
Tum Karnaa, Humko Naa Thukraanaa ll3ll
This is an
original lyrics written by me (Himanshu Guru) from Bhubaneswar (originally from
Balangir) in Odisha. The lyrics is dedicated to Goddess Bhawani.
I have
written the lyrics keeping in view the song ‘Mere Naina Sawan Bhadon’ from the
film ‘Mehbooba’. However, you can tune it at your own and make a video. I have
made a video using it. Watch in the link below. Thanks. Jay Mata Di...
No comments:
Post a Comment